Best Hindi Ghazal Shayari

Shayari on Garmi

Jab kalam liya haath mein
Ghazal bann gaye tum,
Jab bhi nazar uthaayi
Nazaara bann gaye tum,
Jab bhi kuch kehna chaha
Ishaara bann gaye tum,
Doob raha tha jab jazbaat ke samandar mein
Saahil bann gaye tum,
Kehne ko tha bahut kuch
Parr kuch naa kah saka main,
Bina kuch kahe
Bahut kuch kah gaye tum,
Jab bhi saans li maine
Hawa bann gaye tum,
Jab bhi dua mein haath uthaaye
Dua bann gaye tum,
Jab bhi chalak gayi aankhen,
Aansoon bann gaye tum,
Nahin jaan saka main’
Jaane kab meri dhadkan bann gaye tum …